Thursday, July 3, 2008

!!~*~!! Apni Zindagi Ki Har Shaam !!~*~!!



apni zindagi ki har sham teray naam kar doon
teri hii ankhoun ka jam teray naam kar doon

main doubh jaoun teri in jheel si gahri ankhoun main
phir apni barbadi ka ilzam teray nam kar doon

main apni Rouh koo teray Wajood mai bhar doon
phir apni zaat apna har payam teray naam kar doon


tou mojhay mouhubat ka aghaz day sanam
main apnay payar ka anjam teray naam kar doon


mohabatoun kay qaseeday likhoun teri sanaa mai
hazaron payar kay paygham teray naam kar doon


hou jis ka zikar mouhubaat kii har kahani mai
eik aysa payar ka paygham teray naam kar doon

No comments:

Search from Cycling Blog